mila na dair-o-haram mein kahin nishan un ka

mila na dair-o-haram mein kahin nishan un ka
had-e-nigah se bahar hai aastan un ka

nigah milte hi hum dil pakad ke baith gae
laga jo tir-e-nazar aa ke na-gahan un ka

kiye hain rah-e-wafa mein wahin wahin sajde
mila hai naqsh-e-kaf-e-pa jahan jahan un ka

hate na rah-e-wafa se wafa ke diwane
hazar bar liya tum ne imtihan un ka

base hue hain wo aise meri nigahon mein
kabhi kabhi mujhe khud par hua guman un ka

jinhon ne josh-e-wafa mein bigad li hasti
zamana aaj bhi leta hai imtihan un ka

hazar dair-o-haram sadd-e-rah hue ai 'saif'
talash kar hi liya dil ne aastan un ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close