mili jo dil ko KHushi to KHushi se ghabrae

mili jo dil ko khushi to khushi se ghabrae
hum ajnabi ki tarah zindagi se ghabrae

wo aur kuchh hai magar kaenat-e-hosh nahin
ek aadmi hi agar aadmi se ghabrae

kabhi kabhi to teri dosti mein hum ai dost
khud apne aalam-e-awargi se ghabrae

jala liye hain usi waqt aansuon ke charagh
shab-e-firaq mein jab tirgi se ghabrae

wahi to bazm se saqi ki uth gae mahrum
jo mai-kade mein kabhi tishnagi se ghabrae

fareb-e-gesu-e-pur-kham ho ya ho sham-e-hayat
wo shams kya ki kisi tirgi se ghabrae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close