milna tha ittifaq bichhaDna nasib tha

milna tha ittifaq bichhadna nasib tha
wo utni dur ho gaya jitna qarib tha

main us ko dekhne ko tarasti hi rah gai
jis shakhs ki hatheli pe mera nasib tha

basti ke sare log hi aatish-parast the
ghar jal raha tha aur samundar qarib tha

mariyam kahan talash kare apne khun ko
har shakhs ke gale mein nishan-e-salib tha

dafna diya gaya mujhe chandi ki qabr mein
main jis ko chahti thi wo ladka gharib tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close