milne ka nahin rizq-e-muqaddar se siwa aur kya ghar mein khuda aur hai ghurbat mein khuda aur tum samne aate ho to chhupte ho siwa aur parde ki haya aur hai aankhon ki haya aur kuchh aag lagaega nai shola-e-rukhsar kuchh rang dikhaega tera rang-e-hina aur insan wo kya jis ko na ho pas zaban ka ye koi tariqa hai kaha aur kiya aur aa pahunche hain manzil ki nawahi mein 'zahir' ab han pa-e-talab haariyo himmat na zara aur