milne ko tujhse dil to mera be-qarar hai

milne ko tujh se dil to mera be-qarar hai
tu aa ke mil na mil ye tera ikhtiyar hai

jis jis ke pas dosto jis jis ka yar hai
behtar chaman se ghar mein isi ke bahaar hai

tum zakhm-e-dil ki mere khabar puchhte ho kya
tir-e-nigah dil ke to ab war-par hai

gar dushmani pe dost ne bandhi mere kamar
dushman hai ab jo koi mera dost-dar hai

lagti nahin palak se meri ab zara palak
aane ka is ke jab se mujhe intizar hai

ai shahsawar us ko bhi kar le tu ab shikar
ye said-e-dil bhi umr se umid-war hai

ye kuchh to haal tere diwane ka ab hua
jidhar ko jawe aah use mar mar hai

ai gul tujhe aziz hun rakhta main is liye
yani ki tujh mein ek ramaq bu-e-yar hai

ye kis ke dil ko chhin ke karte hain paemal
in zalimon ka aah yahi karobar hai

'asif' khuda ke waste mat de buton ko dil
ye wo hain jin ke qaul ka kya e'tibar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close