milta hai qaid-e-gham mein bhi lutf-e-faza-e-bagh

milta hai qaid-e-gham mein bhi lutf-e-faza-e-bagh
chaak-e-qafas se aati hai farfar hawa-e-bagh

roke zaban na bulbul-e-bustan sara-e-bagh
dohrae phir mere se kaho majra-e-bagh

sunte hain ab ki aai hai kis dhum se bahaar
kya ji phadak raha hai qafas mein barae bagh

kin chahchahon mein apni basar hoti thi mudam
ai ham-safir kya ho bayan majra-e-bagh

guzre nasim idhar se to puchhenge hum asir
hum ko bhi yaad karte hain naghma-sara-e-bagh

ai ham-safir ab to chale qaid ho ke hum
taqdir dekhiye hamein phir kab dikhae bagh

mujh mast ka chaman mein shanasa koi nahin
ek dukht-e-raz qadim se hai aashna-e-bagh

pate hain sarw-e-gul mein teri shakl qadd-o-rukh
furqat mein ji kahin nahin lagta siwae bagh

us din se apne bulbul-e-dil ko hai ishq-e-gul
gulzar-e-dahr mein hui jaise bina-e-bagh

milta nahin hai nakhl-e-tamanna se yan samar
phir koi kis umid pe is ja lagae bagh

nargis ki hai wo aankh na gul ka wo rang hai
chalti hai ab ki sal mukhalif hawa-e-bagh

ab chahchahe hain wo na nawa-sanjiyan hain wo
shayad guzar gaya 'qalaq'-e-khush-nawa-e-bagh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close