milta jo koi TukDa is charKH-e-zabarjad mein

milta jo koi tukda is charkh-e-zabarjad mein
paiwand laga deta main nafs-e-mujarrad mein

bedari-e-furqat mein tha ramz qayamat ka
jaga hun ki nind aae tariki-e-marqad mein

is daftar-e-hasti mein talim bahut kam hai
do harf nazar aae dibacha-e-abjad mein

go khak ka putla hun lekin koi kya samjhe
main bhi koi shai hun jo gardun hai meri kad mein

hai zabt ki farmaish is dil se bahut beja
ye qulzum-e-la-sahil kis tarah rahe had mein

pahlu mein nahin dil to dil-soz hi aa jata
ek shama to jal jati tariki-e-marqad mein

nalon se ye kahta hun himmat se na dil haaren
taron ne jagah kar li is lauh-e-zamurrad mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close