milta nahin khud apne qadam ka nishan mujhe kin marhalon mein chhod gaya karwan mujhe lamhe ka lams phail chuka kaenat par aawaz dene aai hain ab duriyan mujhe ek jast mein tamam huin sari wusaten la ab nai zamin naya aasman mujhe aaj ek dasht-washt mein tanha shajar bhi main hairat se takte hain sabhi karwan mujhe jangal ki aag phail gai sare sahn mein le jae ab junun na jaane kahan mujhe sare tilism tut gae ishtiyaq ke wo rah mein mile jo kabhi na-gahan mujhe takhliq-e-sher jehd-e-musalsal wo khana-zad ek ek lafz dar pe mahaz-e-garan mujhe