misal-e-shoala-o-shabnam raha hai aankhon mein wo ek shakhs jo kam kam raha hai aankhon mein kabhi ziyaada kabhi kam raha hai aankhon mein lahu ka silsila paiham raha hai aankhon mein na jaane kaun se aalam mein us ko dekha tha tamam umr wo aalam raha hai aankhon mein teri judai mein tare bujhe hain palkon par nikalte chand ka matam raha hai aankhon mein ajab banaw hai kuchh us ki chashm-e-kam-go ka ki sail-e-ah koi tham raha hai aankhon mein wo chhup raha hai khud apni panah-e-mizhgan mein badan tamam mujassam raha hai aankhon mein azal se ta-ba-abad koshish-e-jawab hai 'shaz' wo ek sawal jo mubham raha hai aankhon mein