misl-e-sarmad talib-e-haq-bin agar sar-dad dad

misl-e-sarmad talib-e-haq-bin agar sar-dad dad
dekh le mansur ne ji dar par ustad dad

ishq hai ai dil kathin kuchh khana-e-khala nahin
rakh dilerana qadam ta tujh ko ho imdad dad

ho nahin sakti hai jis ki gosh-zad fariyaad dad
jis ne aabaadan mere dil ka nagar barbaad dad

rashk-e-duniya hai kisi ne kyun barae chand roz
zindagi apne tain afsos ya miad dad

kis se ho sakta hai jo is ne kiya aalam ke sath
surat-e-khaki mein kaisa kuchh dam-e-ijad dad

khurram-o-khursand ek aalam hai par hairan hun main
kyun mujhe khatir hazin hoe dil-e-nashad dad

'afridi' us shikar-andaz se kyunkar baje
dam mein jis ke hai sab khilqat azan sayyaad dad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close