misr firaun ki tahwil mein aaya hua hai khun pani ki jagah nil mein aaya hua hai waqt be-waqt jhalakta hai meri surat se kaun chehra meri tashkil mein aaya hua hai pesh-bini hai ye ilham ke aaine ki aks quran ka injil mein aaya hua hai koi lamha mujhe tabdil kiye jata hai kya taghayyur meri takmil mein aaya hua hai sarguzisht-e-dil-e-tafrih-talab mein jaanan zikr tera kisi tafsil mein aaya hua hai meri aankhon mein uge khauf-zada zard kanwal shark ka aks meri jhil mein aaya hua hai us ke mahsul pe dushman ki nazar hai 'asim' jo ilaqa meri tahsil mein aaya hua hai