mizaj-e-dil na itna sard hota

mizaj-e-dil na itna sard hota
agar pahlu-ba-pahlu dard hota

ye kuchli lash ab bhi sochti hai
koi is bhid mein hamdard hota

khizan wale yahi to chahte hain
hare patton ka chehra zard hota

mohabbat par hai purwai ka ehsan
wagarna dil mein kyun ye dard hota

zamane ki nazar lagne na deta
jo tu aaina aur main gard hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close