mizaj-e-naghma-o-sher-o-sharab paida kar hayat-e-ishq mein kuchh aab-o-tab paida kar nazar ko khirgi-e-shauq be-panah mile har ek zarre se wo aaftab paida kar shikast-e-khwab ke ba-wasf band hain aankhen phir ek bar tamasha-e-khwab paida kar ye be-niyazi-e-tazin-e-aina kab tak kabhi kabhi to khud apna jawab paida kar har ek zarra hai mamura-e-jamal-e-habib dil-e-hazin nigah-e-kaamyab paida kar dil-o-nigah ko dhoke bhi ras aae hain wufur-e-tishna-labi mein sarab paida kar na kar shikayat-e-dauran na ban harif-e-zaman musibaton ka koi sadd-e-bab paida kar pahunch buland-maqamat-e-sher-o-naghma tak adab mein ek dil-awez bab paida kar gharaz to ye hai tera markaz-e-nigah rahun sukun-e-dil na sahi iztirab paida kar 'rais' tujh ko to marne ki bhi nahin fursat kaha tha kis ne ki aise azab paida kar