manzil-e-yar be-nishan bhi nahin dil ho ghafil to raaz-dan bhi nahin barq kyun be-qarar hai itna ab to gulshan mein aashiyan bhi nahin ho nazar mein agar haqiqat-e-husn zindagi sada dastan bhi nahin wo jafaon pe sharmsar na hon ab ye manzil mujhe garan bhi nahin yar ki justuju ko kya kahiye raegan bhi hai raegan bhi nahin dil tak aae to wajh-e-taskin ho wo nazar itni mehrban bhi nahin allah allah surur-e-yaad-e-habib ab mujhe hijr ka guman bhi nahin lab tak aa jae to qayamat hai aashiqi kar-e-be-fughan bhi nahin azmat-e-husn ishq se hai 'rais' sar nahin hai to aastan bhi nahin