mizaj-e-sher ko har daur mein raha mahbub

mizaj-e-sher ko har daur mein raha mahbub
khanakta lahja sulagta hua naya uslub

talash aur tajassus ke bawajud hamein
wo chiz mil na saki jo hai waqt ko matlub

koi bhi aankh wahan tak pahunch nahin sakti
chhupa ke rakkhe hain tu ne jahan mere maktub

abhi to aas ke aangan mein kuchh ujala hai
salone chand judai ke baadalon mein na dub

jo log kahte rahe hain khuda mohabbat hai
khud un ke hathon hi masumiyat hui maslub

'quli'-qutub nahin 'zahid'-kamal hun ai dost
main tere nam se kis shahr ko karun mansub


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close