mizhgan ne roka aankhon mein dam intizar se

mizhgan ne roka aankhon mein dam intizar se
uljhe hain khar daman-e-baad-e-bahaar se

matlab khizan se hai na gharaz hai bahaar se
hum dil utha chuke chaman-e-rozgar se

ye gul khila na lala-rukhon ke firaq mein
hum dagh le chale chaman-e-rozgar se

bismil jo hain to hum hain tadapte jo hain to hum
wo khush hain said-gah mein sair-e-shikar se

aaghaz-e-ishq hai wo badhate hain rasm-o-rah
hum dil mein khauf karte hain anjam-e-kar se

un ko hua jo nashsha-e-mai meri ban padi
parda khula na daman-e-mauj-e-khumar se

kalkatta se bhi kijiye hasil koi to ilm
sikhenge sehr-e-samri hum chashm-e-yar se

ai 'mehr' ye ghazal wo pur-ejaz-o-garm hai
'atish' agar sune nikal aae mazar se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close