mizhgan wo jhapakta hai ab tir hai aur main hun

mizhgan wo jhapakta hai ab tir hai aur main hun
sar panw se chhidne ki taswir hai aur main hun

kahta hai wo kal tere purze main udaunga
ab subh ko qatil ki shamshir hai aur main hun

be-jurm-o-khata jis ka khun howe rawa yaro
us khubi-e-qismat ka nakhchir hai aur main hun

hai qatl ki dhun us ko aur meri nazar haq par
tadbir hai aur wo hai taqdir hai aur main hun

dil tuta 'nazir' ab to do-chaar baras ro kar
is qasr-e-shikasta ki tamir hai aur main hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close