moajiza wo jo masiha ka dikhate jate

moajiza wo jo masiha ka dikhate jate
kah ke qum qabr se murde ko jilate jate

marte dam bagh-e-madina ka nazara karte
dekh lete chaman-e-khuld ko jate jate

dekh kar nur-e-tajalli ko tere diwane
dhajjiyan daman-e-mahshar ki udate jate

ban ke parwana meri ruh nikalti tan se
lau jo is shama-e-tajalli se lagate jate

ek nazar dekhte hi ru-e-mohammad ki ziya
ghash pe ghash hazrat-e-yusuf ko hain aate jate

hai wo sahra-e-junun aap ke diwanon ka
hazrat-e-khizr jahan thokaren khate jate

aisa mahbub hua kaun ki ummat ke liye
ruthte aap to allah manate jate

tur pe hazrat-e-musa na kabhi jal-bujhte
aap aankhon mein jo surma na lagate jate

saf-e-mehshar mein ilahi ba-huzur-e-sarwar
nat padh padh ke ye shohrat ki manate jate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close