modern hiren to zar-daron ke han rah jaengi

modern hiren to zar-daron ke han rah jaengi
aur ranjhon ke labon par murliyan rah jaengi

ho sake to tum bacha lo ab bhi desi nasl ko
warna pichhe sirf shewar murghiyan rah jaengi

sunflower ho gaya hai ibn-e-adam ki ghiza
ab chaman-zaron mein goya sabziyan rah jaengi

chhoti qaumon par agar weto ka lath chalta raha
sirf uno mein ghunda-gardiyan rah jaengi

nek-sirat shauharon ko dekh kar huron ke bich
khuld ke andar tadap kar biwiyan rah jaengi

zulmaten hongi tawanai ke is bohran mein
sirf aankhon mein chamakti bijliyan rah jaengi

murgh par fauran jhapat dawat mein warna baad mein
shorba aur gardanon ki haddiyan rah jaengi

ghar ke gul-danon mein 'shahid' phul honge kaghzi
aur pardon par printed titliyan rah jaengi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close