mohabbat ki wo aahat pa na jae adaon mein takalluf aa na jae teri aankhon mein aankhen dal di hain karen kya jab tujhe dekha na jae kahin khud bhi badalta hai zamana zabardasti agar badla na jae mohabbat rah chalte tokti hai kisi din zad mein tu bhi aa na jae wahan tak din ke sathi hazaron jahan tak hath se duniya na jae tere josh-e-karam se dar raha hun dil-e-dard-ashna itra na jae kahan tum dard-e-dil le kar chale 'najm' mizaj-e-dard-e-dil puchha na jae