mohabbat mein koi sadma uThana chahiye tha

mohabbat mein koi sadma uthana chahiye tha
bhulaya tha jise wo yaad aana chahiye tha

giri thin ghar ki diwaren to sehn-e-dil mein hum ko
gharaunde ka koi naqsha banana chahiye tha

uthana chahiye thi rakh shahr-e-arzu ki
phir is ke baad ek tufan uthana chahiye tha

koi to baat karna chahiye thi khud se aakhir
kahin to mujh ko bhi ye dil lagana chahiye tha

kabhi to ehtimam-e-arzu bhi tha zaruri
koi to zist karne ka bahana chahiye tha

meri apni aur us ki aarzu mein farq ye tha
mujhe bas wo use sara zamana chahiye tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close