mohabbat wo maraz hai jis ka chaara ho nahin sakta jigar ka ho ki dil ka zakhm achchha ho nahin sakta wo nala koi nala hai jo kam ho mauj-e-tufan se wo aansu koi aansu hai jo dariya ho nahin sakta tamasha hai ki hum us ko masiha dam samajhte hain hamare dard ka jis se mudawa ho nahin sakta mujhe fariyaad par mail na kar ai josh-e-nakaami zamane-bhar mein dil ka raaz ruswa ho nahin sakta ajab kya hai jo khamoshi hi sharh-e-arzu kar de mere lab se to izhaar-e-tamanna ho nahin sakta mubarak ho tujhi ko ye khayalistan ai waiz teri duniya mein rindon ka guzara ho nahin sakta tamasha ho gaya hai tere jalwon ka tamashai koi is shan se mahw-e-tamasha ho nahin sakta badal sakte ho tum bigdi hui qismat zamane ki tumhaari ek nigah-e-naz se kya ho nahin sakta