mohr-ba-lab hai kis liye, kis liye bolta nahin

mohr-ba-lab hai kis liye, kis liye bolta nahin
ai dil-e-be-talab! bata kya koi muddaa nahin

ahl-e-junun ko ab ke bhi izn-e-junun mila nahin
ab ke baras bhi bagh mein phul koi khila nahin

apna qusur hai to ye, aur koi khata nahin
hum ne faqih-e-shahr ko mana kabhi khuda nahin

ye to hua ki raushni aur bhi kuchh bhadak uthi
tez hawa ke bawajud dil ka diya bujha nahin

rah-e-talab mein aaj tak ahl-e-talab ka qafila
yun hi rawan-dawan raha aur kabhi thaka nahin

kis se talab karen bhala khun ka apne khun-baha
apne alawa aur koi apna harif tha nahin

dil ka ajib rang hai aur wo shakhs sang hai
ta-ba-nigah dur tak jis ka koi pata nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close