mubtala KHud ko kisi gham mein musalsal rakhna

mubtala khud ko kisi gham mein musalsal rakhna
aur us gham ko teri aankh se ojhal rakhna

chand khidki mein kabhi dhup mein baadal rakhna
dhyan rakhna jo kisi ka to har ek pal rakhna

chalna sikha hi nahin rah se hat kar hum ne
ek qadam us ki taraf ek su-e-maqtal rakhna

dekhna mand na pad jaen gham-e-hijr mein ye
tum shab-e-wasl ka in aankhon mein kajal rakhna

ek zara baat se is jaan pe ban aati thi
ras aaya bhi to gham se ise bojhal rakhna

jis ko kahna tha usi ko nahin kahna aur phir
kaise andeshon mein khud ko yunhi pagal rakhna

aisa lagna ki ye aankhen to barasti hi nahin
sail-e-gham se magar andar koi jal-thal rakhna

hum to is arsa-e-hasti mein jhulaste hi rahe
na hua dhup mein ek khwab ka baadal rakhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close