muddaton ke baad jab pahuncha wo apne ganw mein

muddaton ke baad jab pahuncha wo apne ganw mein
jhurriyan chehre pe thin aur aable the panw mein

ab to shayad gir gaya hoga wo pipal ka darakht
bachpane mein hum mila karte the jis ki chhanw mein

kaun aaega meri dahliz pe barson ke baad
aaj hum phir kho gae kawwe ke kanw kanw mein

taki mujh pe shahr ki uryaniyan ghaalib na hon
apni aankhen chhod aaya hun main apne ganw mein

ek samundar aankh mein tha maujzan 'talib' magar
umr-bhar hum tishna-lab bhatka kiye sahraon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close