muhit-e-pak pe mauj-e-hunar mein raushan hun

muhit-e-pak pe mauj-e-hunar mein raushan hun
main e'tibar-e-kaf-e-kuza-e-gar mein raushan hun

main hashiya hun tere jalwa-zar-e-hairat ka
main tere sath tere baam-o-dar mein raushan hun

main aap-apna ujala hun shab ke daman par
main aap-apni dua-e-sahar mein raushan hun

bujha sakegi na mujh ko hawa-e-sud-o-ziyan
main taq-e-ma-hasal-e-khair-o-shar mein raushan hun

utha ke le gaya mujh ko giroh-e-nara-kashan
main inqalab ki jhuti khabar mein raushan hun

wahi hai kohnagi-e-zulmat-e-khala aur main
nai udan nae baal-o-par mein raushan hun

na jaane kab se hun aatish-ba-jaan tamasha kar
tere liye main teri rah-guzar mein raushan hun

chamak rahi hai udasi mere hawale se
main 'ramz' ab bhi kisi chashm-e-tar mein raushan hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close