mujh sa na de zamane ko parwardigar dil aashufta dil farefta dil be-qarar dil har bar mangti hain naya chashm-e-yar dil ek dil ke kis tarah se banaun hazar dil mashhur ho gai hai ziyarat shahid ki khun-kushta aarzu ka bana hai mazar dil ye said-gah-e-ishq hai thahraiye nigah sayyaad-e-muztarib se na hoga shikar dil tufan-e-nuh bhi ho to mil jae khak mein allah re ghubar tera pur ghubar dil puchha jo us ne talib-e-roz-e-jaza hai kaun nikla meri zaban se be-ikhtiyar dil karte ho ahd-e-wasl to itna rahe khayal paiman se ziyaada hai na-paedar dil tasir-e-ishq ye hai tere ahd-e-husn mein mitti ka bhi banaen to ho be-qarar dil us ki talash hai ki nazar aae aarzu zalim ne roz chaak kiye hain hazar dil aalam hua tamam raha us ko shauq-e-hur barsae aasman se parwardigar dil pahle-pahal ki chah ka kije na imtihan aana to sikh le abhi do-chaar bar dil nikle meri baghal se wo aise tadap ke sath yaad aa gaya mujhe wahin be-ikhtiyar dil ai andalib tujh ko lage kab hawa-e-ishq kaliyon ki tarah tujh mein na phute hazar dil aashiq hue wo jaise adu par ye haal hai rakh kah ke hath dekhte hain bar bar dil us ne kaha hai sabr padega raqib ka le aur be-qarar hua be-qarar dil betab ho ke bazm se us ki utha diya ghafil main hun magar hai bahut hoshyar dil mashhur hain sikandar o jam ki nishaniyan ai 'dagh' chhod jaenge hum yaadgar dil