mujhe aazad kar do na sabhi pur-soz nalon se

mujhe aazad kar do na sabhi pur-soz nalon se
meri ai kham-zada qismat dukhon ki sakht chaalon se

kahan se sabr laen hum kahan ab aur jaen hum
bahut hi zakhm pae hain are in husn walon se

kisi ko soch kar kaise kisi ki soch se niklen
bahut bechain rahte hain kai aise sawalon se

ye hum se ruthne wale manae ab nahin jate
bahut ukta gae hain hum manane ke khayalon se

khuda ka khauf khao kuchh daro us zat se logo
mujhe ab mat satao nit-nai gahri ye chaalon se

koi na-mehrban jab hai banega mehrban kaise
isi uljhan mein uljhe hain guzishta aath salon se

kisi ka kore kaghaz par banaya aks tha 'kashif'
ki khushbu ab bhi uthti hai usi ke kale baalon se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close