mujhe bacha bhi liya chhoD kar chala bhi gaya

mujhe bacha bhi liya chhod kar chala bhi gaya
wo mehrban pas-e-gard-e-safar chala bhi gaya

wagarna tang na thi ishq par khuda ki zamin
kaha tha us ne to main apne ghar chala bhi gaya

koi yaqin na kare main agar kisi ko bataun
wo ungliyan thin ki zakhm-e-jigar chala bhi gaya

mere badan se phir aai gae dinon ki mahak
agarche mausam-e-barg-o-samar chala bhi gaya

hawa ki tarah na dekhi meri khizan ki bahaar
khila ke phul mera khush-nazar chala bhi gaya

ajib raushaniyan thin visal ke us par
main us ke sath raha aur udhar chala bhi gaya

kal us ne sair karai nae jahanon ki
to ranj-e-narasi-e-baal-o-par chala bhi gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close