mujhe be-KHanma kar ke pasheman wo na yun hota

mujhe be-khanma kar ke pasheman wo na yun hota
agar meri tabahi se use hasil sukun hota

mujhe aasudgi bakhshi thi meri khasta-haali ne
mere honton pe kyon kar shikwa-e-haal-e-zubun hota

dar-e-munim pe jhuk kar sarfaraazi hoti jo hasil
main aisi sarfaraazi ke liye kyon sar-nigun hota

khirad ke samne hoti na ruswai kabhi us ki
agar josh-e-junun waqif ba-adab-e-junun hota

wahi ho ke raha aakhir jo hona tha mere haq mein
ab is par ranj kya karna ki yun hota na yun hota

agar main sahir-e-fan hota apne ahd ka sabir
asar-andaz logon par mere fan ka fusun hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close