mujhe jab bhi wo galiyan aur wo rasta yaad aata hai

mujhe jab bhi wo galiyan aur wo rasta yaad aata hai
koi dhundla sa manzar hai jo ujla yaad aata hai

faza-e-dil pe tari hai bahut hi habs ka mausam
teri qurbat ki khushbu ka wo jhonka yaad aata hai

kaha tum to judai ka wo manzar bhul baithe ho
khala mein dekh kar mujh se wo bola yaad aata hai

khizan-rut hai magar mujh ko khayalon ke tasalsul mein
mohabbat ke gulabon ka wo sapna yaad aata hai

kisi ke dukh bhare lamhe mein jab koi bilakta hai
haqiqat mein use har zakhm apna yaad aata hai

musalsal ret par chalna wafa ki rit thahri hai
teri dahliz tak phaila wo sahra yaad aata hai

wo lamha jo guzarte mausamon mein sath thahra hai
mujhe khud bhi nahin malum kitna yaad aata hai

kabhi jab hijr ki aahat se dil aangan mein aati hai
bahut apnaiyat se bas wo apna yaad aata hai

tera hi aks utra hai meri nazmon mein ghazlon mein
wo lahja teri chahat ka wo chehra yaad aata hai

hamara nam likha tha kabhi jo ret par us ne
kabhi jab yaad aae to wo dariya yaad aata hai

mere aangan mein jab bhi sham ke sae utarte hain
mujhe 'shahin' mohabbat ka hi saya yaad aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close