mujhe jab maut ne boya zamin mein main phir ugne ko ja soya zamin mein khiram is husn wale ka hai aisa gade hain aadmi goya zamin mein mera nam-o-nishan nikla zamin se mera nam-o-nishan khoya zamin mein guzar-auqat karna hai yahin par zamin par waqt kato ya zamin mein