mujhe shakl de ke tamam kar kaf-e-kuza-gar

mujhe shakl de ke tamam kar kaf-e-kuza-gar
kabhi ku-ba-ku mujhe aam kar kaf-e-kuza-gar

kisi subh mujh ko wajud de mere ru-ba-ru
kisi sham mujh se kalam kar kaf-e-kuza-gar

mujhe aanch de kisi dopahar ke faragh mein
kisi raat mujh mein qayam kar kaf-e-kuza-gar

mujhe chhu ke lams-shanas kar kisi sah-pahar
meri ruh tak mein khiram kar kaf-e-kuza-gar

kabhi pura din isi khak par mere sath rah
isi kunj mein koi sham kar kaf-e-kuza-gar

kabhi shab dhale koi shakl meri khabar ko de
gham-e-be-jahat ko maqam kar kaf-e-kuza-gar

main jo ek zarra-e-reg hun tah-e-reg hun
kabhi mujh ko mahr-e-tamam kar kaf-e-kuza-gar

mujhe daeron ke hujum mein kahin bhej de
meri wusaton ko dawam kar kaf-e-kuza-gar

kabhi le ke aa meri khak nil-o-furaat se
koi waqia mere nam kar kaf-e-kuza-gar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close