mujhe to jam-o-mai-o-gul ka intizar nahin

mujhe to jam-o-mai-o-gul ka intizar nahin
main khud bahaar hun mere liye bahaar nahin

huzur-e-ishq agar husn be-qarar nahin
shab-e-firaq koi lutf-e-intizar nahin

ba-qadr-e-zarf diya jam sab ko saqi ne
ye baat wo hai hamein jis ka eatibar nahin

main aap apni hi manzil ka khizr-e-manzil hun
junun mein koi bhi mera sharik-e-kar nahin

hayat-o-maut pe hum tabsire karen kaise
hayat-o-maut pe jab koi ikhtiyar nahin

hujum-o-yas ke aalam mein dard-e-furqat mein
ba-juz tumhaare koi aur raazdar nahin

tilism-e-zist ne kuchh aise gul khilae hain
ki ab nazar mein koi qimat-e-bahaar nahin

jo dard bakhsha hai tum ne usi pe nazan hain
mata-e-zist nahin fikr-e-rozgar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close