mujhe zaban zarurat thi ek sada ke liye koi na tha mere ahbab mein wafa ke liye main tere hijr mein hi mar gaya tha meri jaan ye zindagi main jiya hun faqat saza ke liye mujhe nahin hai zarurat ye aish-o-ishrat ab tadap raha hai ye dil bas teri ada ke liye tera hi naqsh ubharta raha lakiron mein uthae hath jo main ne kabhi dua ke liye samajh nahin mujhe aata ye falsafa 'ahmad' kisi ke dar pe hain kyon mangte khuda ke liye