mujhko Doli mein biTha Dar ke hawale kar de

mujh ko doli mein bitha dar ke hawale kar de
meri man mujh ko muqaddar ke hawale kar de

ab ye ehsas ki duniya mein koi mera nahin
jaane kab mujh ko samundar ke hawale kar de

us qabile se nahin main ki jo apni ladki
jang ke khauf se lashkar ke hawale kar de

ghumne phirne ka haq rakhti hai phir bhi titli
kis liye khud ko gul-e-tar ke hawale kar de

khali kamre mein pade rahne se behtar hoga
ai 'qamar' khud ko bhare ghar ke hawale kar de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close