mujh ko har lamha nai ek kahani dega har kahani mein tera rang dikhai dega kal jo ek lafz na sunta tha safai mein meri aaj wo shakhs mere haq mein gawahi dega jis ne qaem kiya ye rishta qalam se mera ab kahan wo mujhe duniya mein dikhai dega waqt-e-akhir na mulaqat meri us se hui har ghazal mein meri ye nauha sunai dega ek misre ki tarah wo to akela hi raha jab bhi dekhoge akela hi dikhai dega kyun hawa tez chali nind se wo jag pada khwab tuta hai to ilzam mujhe hi dega