mujhko kabhi bhi un se shikayat hui nahin

mujh ko kabhi bhi un se shikayat hui nahin
shayad isi liye to mohabbat hui nahin

ghairon se mehrbani ki ummid kya karen
hum par to aap ki bhi inayat hui nahin

wo log kuche kuche bhatakne lage hain aaj
jin ko khud apne ghar se bhi chahat hui nahin

hum hi to the jo waqt pe hi kaam aa gae
achchha hua ki hum se adawat hui nahin

main ne kabhi kisi ka dukhaya nahin hai dil
mujh ko kabhi kisi se nadamat hui nahin

tufan-e-baad-o-baran mein sab bah gaya 'kiran'
barsat ab ki bais-e-rahmat hui nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close