mujhko malum tha main aur sanwar jaunga

mujh ko malum tha main aur sanwar jaunga
ghar se niklunga to har samt bikhar jaunga

raaz maujon ke samundar ne batae hain mujhe
yahan dubunga kahin aur ubhar jaunga

abhi sustaunga kuchh der isi dorahe par
baad mein sochunga dekhunga kidhar jaunga

main to barzakh ke andheron mein jalaunga charagh
main nahin wo ki jo maut aai to mar jaunga

zindagi yun tujhe rahne nahin dunga be-rang
teri taswir mein kuchh rang to bhar jaunga

main hun dariya hai rawani meri daim 'betab'
koi sailab nahin hun ki utar jaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close