mujhko samjho yaadgar-e-raftagan-e-lucknow

mujh ko samjho yaadgar-e-raftagan-e-lucknow
hun qadd-e-amdam ghubar-e-karwan-e-lucknow

khun-e-hasrat kah raha hai dastan-e-lucknow
rah gaya hai ab yahi rangin-bayan-e-lucknow

gosh-e-ibrat se sune koi meri fariyaad hai
bulbul-e-khunin nawa-e-bostan-e-lucknow

mere har aansu mein ek aaina-e-taswir hai
mere har nale mein hai tarz-e-fughan-e-lucknow

dhundhta hai ab kise le kar charagh-e-aftab
kyun mitaya ai falak tu ne nishan-e-lucknow

lucknow jin se ibarat thi hue wo napadid
hai nishan-e-lucknow baqi na shan-e-lucknow

ab nazar aata nahin wo majma-e-ahl-e-kamal
kha gae un ko zamin-o-asman-e-lucknow

pahle tha ahl-e-zaban ka daur ab gardish mein hain
chahiye thi tegh-e-urdu ko fasan-e-lucknow

marsiya-go kitne yakta-e-zamana the yahan
koi to itnon mein hota nauha-khwan-e-lucknow

ye ghubar-e-na-tawan khakistar-e-parwana hai
khandan apna tha sham-e-dudman-e-lucknow

chalta tha jab ghutniyon apne yahan tifl-e-razia
sajda karte the use gardan-kushan-e-lucknow

ahd-e-pirana-sari mein kyun na shirin ho sukhan
bachpane mein main ne chusi hai zaban-e-lucknow

gulshan-e-firdaus par kya naz hai rizwan tujhe
puchh us ke dil se jo hai rutba-dan-e-lucknow

bu-e-uns aati hai 'haidar' khak-e-matiya-burj se
jama hain ek ja watan-awargan-e-lucknow


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close