mujh ko ta-umr tadapne ki saza hi dena tujh ko manzur agar ho to bhula hi dena ai gham-e-hijr wo tohmat jo lagae mujh par meri be-laus mohabbat ki gawahi dena ye alag baat ki ho jaun mohabbat mein tabah tu na mujh ko kabhi ehsas-e-tabahi dena wo jo majbur karen sharh-e-gham-e-furqat ko ashk-amez nigahon se suna hi dena un ke daman ko mah-o-mehr se karna mamur mere hisse mein jahan bhar ki syahi dena wo jawan ke kahin fitna-e-dauran na bane husn ko fitrat-e-mashuq-nigahi dena aaj bhi yaad hai ai dost inayat teri wo tera itna hansana ki rula hi dena mere har sher mein rudad-e-sitam hai un ki ai 'zafar' meri ghazal un ko suna hi dena