mujhko talab to nai duniya ki hai

mujh ko talab to nai duniya ki hai
rahbari naqsh-e-kaf-e-pa ki hai

baadiya-paimai-e-wahshat se tang
be-ufaqi wusat-e-sahra ki hai

hai wahi maujud jo hai didani
rae yahi dida-e-bina ki hai

ghur rahi hai jise pyasi nazar
shakl wo mai ki nahin mina ki hai

dil-kashi-e-pech-o-kham-e-pairahan
den kham-o-pech-e-sarapa ki hai

zulf-e-pareshan ke talawwun mein bhi
khubi-e-tamkin rukh-e-zeba ki hai

mujh se wo hai mujh se ziyaada qarib
khwahish-e-qurb us se ziyaada ki hai

yun to kinayon ka bhi aadi hai dar
dil ki hawas is ke alawa ki hai

naqsh mein nuqton ke siwa kuchh nahin
shakl-gari shauq-e-tamasha ki hai

sabt 'muhib' us lab-e-jaan-bakhsh par
tishna-labi meri tamanna ki hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close