mujhko thapak thapak ke sulata raha charagh

mujh ko thapak thapak ke sulata raha charagh
pahlu mein raat bhar mere baitha raha charagh

kahta raha ki raat ye kitni hasin hai
tira-shabi ka girya bhi karta raha charagh

suraj ka ek bar faqat nam kya liya
mujh se tamam raat hi ladta raha charagh

us ko meri shikast ki itni khushi hui
hathon pe hath mar ke hansta raha charagh

main us ki zard lau mein khuda dekhta raha
kamre mein raat bhar mere jalta raha charagh

tab tak mere qalam ne faqat raushni likhi
jab tak hatheli par meri likhta raha charagh

pahlu mein us ke kal teri taswir thi padi
ghazlen tere jamal pe kahta raha charagh

aankhen meri bhi surkh thin wo bhi bujha bujha
yun mere sath sath hi rota raha charagh

main us ke pas baith ke kahta raha ghazal
aur pure inhimak se sunta raha charagh

kal us ke sath meri badi guftugu hui
meri kahani sun ke sisakta raha charagh

tark-e-talluqat ka misaq jab hua
mere aur us ke darmiyan baitha raha charagh

jaane hawa ne kya kaha kanon mein us ke kal
'danish' tamam raat machalta raha charagh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close