mujh ko ye kya ho jata hai ghar ka tasawwur aate hi jaise ghar suna suna lagta hai kisi ke jate hi apne jo qisse auron se sun sun kar khush hote the hum the apni nazar mein jhute khud un ke dohraate hi wo jo bahut bharpur the khud mein wo kyun sath mein chikh uthe hum to khud se khaufzada the hum to shor machate hi sath tera hasil na raha kab hum ko yaad nahin padta yani rishta koi baqi hai milne aa us nate hi dhyan kise tha tere ji mein aai hai dard batane ki warna sath tere kahne par hum kuchh dur to jate hi aaj jo tujh se baat hui to jaise hum wo hain hi nahin itna arsa bit gaya kya tujh tak aate aate hi tu ne kaha bhi ho jo kabhi kuchh tujh ko kya malum ki main kitna khali ho jata hun tujh ko dhyan mein late hi shayad koi ek hi aaya shayad koi na aaya tha hum na jo tum ko dekh sake the tum ko nazar to aate hi bahar andar talkh andhera kis ko dhundne nikle ho jot jala aate chaukhat par kuchh to dhaaras pate hi