mujhse banta hua tu tujhko banata hua main

mujh se banta hua tu tujh ko banata hua main
git hota hua tu git sunata hua main

ek kuze ke tasawwur se jude hum donon
naqsh deta hua tu chaak ghumata hua main

tum banao kisi taswir mein koi rasta
main banata hun kahin dur se aata hua main

ek taswir ki takmil ke hum do pahlu
rang bharta hua tu rang banata hua main

mujh ko le jae kahin dur bahati hui tu
tujh ko le jaun kahin dur udata hua main

ek ibarat hai jo tahrir nahin ho pai
mujh ko likhta hua tu tujh ko mitata hua main

mere sine mein kahin khud ko chhupata hua tu
tere sine se tera dard churaata hua main

kanch ka ho ke mere aage bikharta hua tu
kirchiyon ko teri palkon se uthata hua main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close