mumkin hai ki milte koi dam donon kinare

mumkin hai ki milte koi dam donon kinare
ek mauj ke muhtaj the hum donon kinare

yun aankh jhapakta nahin bahta hua pani
manzar mein na ho jaen baham donon kinare

aabaad hamesha hi rahega ye samundar
rakhte hain machheron ka bharam donon kinare

ta-umr kisi maja-e-khush-rau ki hawas mein
bedar rahe dam hama-dam donon kinare

khulti hai yahan aa ke mere khwab ki wusat
hote hain meri aankh mein zam donon kinare

ye fasla mitti se kabhi tai nahin hoga
dariya ki hain wusat pe qasam donon kinare

sab sair ko niklenge sar-e-sahil-e-har-khwab
sayyahon ke chumenge qadam donon kinare

kashti ki tarah umr khizar-gir hai 'azar'
hasti ke hain maujud-o-adam donon kinare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close