mumkin hi na thi KHud se shanasai yahan tak

mumkin hi na thi khud se shanasai yahan tak
le aaya mujhe mera tamashai yahan tak

rasta ho agar yaad to ghar laut bhi jaun
lai thi kisi aur ki binai yahan tak

shayad tah-e-dariya mein chhupa tha kahin sahra
meri hi nazar dekh nahin pai yahan tak

mahfil mein bhi tanhai ne pichha nahin chhoda
ghar mein na mila main to chali aai yahan tak

sahra hai to sahra ki tarah pesh bhi aae
aaya hai isi shauq mein saudai yahan tak

ek khel tha aur khel mein socha bhi nahin tha
jud jaega mujh se wo tamashai yahan tak

ye umr hai jo us ki khata-war hai 'shaariq'
rahti hi nahin baaton mein sachchai yahan tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close