munh-andhere hi koi ghar se nikalta hua tha

munh-andhere hi koi ghar se nikalta hua tha
ek manzar tha ki manzar se nikalta hua tha

ek khilqat ki na hone mein phansi jati thi
aur main hone ke chakkar se nikalta hua tha

kuchh to wo khud hi chala aaya tha bahar bahar
aur kuchh main bhi ab andar se nikalta hua tha

khub raushan si koi chiz mere samne thi
aur dhuan tha ki mere sar se nikalta hua tha

muddaton yun hi tah-e-baal chale aate the
aasman tha ki mere par se nikalta hua tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close