muqaddar aazmana chahta hun tumhaara aastana chahta hun shab-e-furqat musalsal aansuon se lagi dil ki bujhana chahta hun khuda jaane wo kis ka aastan hai jahan main sar jhukana chahta hun mujhe bakhsha hai jis ne gham usi ko sharik-e-gham banana chahta hun teri makhmur aankhon ke tasadduq yahin ab dub jaana chahta hun jahan wo naqsh-e-pa mil jae mujh ko wahin ka'ba banana chahta hun na puchh ai 'dard' meri wusat-e-shauq hudud-e-gham badhana chahta hun