muqaddar ne kahan koi naya paigham likkha hai

muqaddar ne kahan koi naya paigham likkha hai
azal hi se waraq par dil ke tera nam likkha hai

qadam mein jaanib-e-manzil badhaun kya ki qismat ne
jahan aaghaz likkha tha wahin anjam likha hai

shikayat kya karun saqi se main us ke taghaful ki
mere honton ke hisse hi mein khali jam likkha hai

hamein hain muntakhab roz-e-azal se dard ki khatir
hamare nama-e-qismat mein har ilzam likkha hai

musalsal gham musalsal dard se tang aa ke ai 'sahil'
hum aise ahl-e-furqat ne sahar ko sham likkha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close